हिंदी शायरी

बहकते हुए फिरतें हैं कई लफ्ज़ जो दिल में दुनिया ने दिया वक़्त तो लिखेंगे किसी रोज़....

Saturday, April 30, 2016

Main Kisi Se Rishta Matlab Ke Liye Nahi Rakhta..!!



Mujhe zindagi ka itna tajurba to nahi,
par suna hai sadagi me log jine nahi dete…!!

Kadar kirdar ki hoti hai ….varna…
kad me saya bhi insan se bada hota hai…!!

Is kadar siddat se chaha tha maine usko yaaro,
agar dusman bhi hota to nibhata umrabhar…!!

Mujhe dekh kar teri hairani lajami hai,
is daur me insan kam hi mila karte hai…!!

Kal kisi aur ne kharid liya to shikayat na karna,
isliye aaj hum sabse pahle tere shahar me bikne aaye hai…!!

Tum khush kishmat ho jo hum tumko chahte hai…varna,
hum to wo hai jinke khwabo me bhi log ijajat lekar aate hai…!!

Kasoor mera tha to kasoor unka bhi tha,
najar humne jo uthai thi to wo jhuka bhi sakte the…!!

Tu rutha rutha sa lagta hai koi tarkib bata manane ki ,
me jindagi girvi rakh dunga tu kimat bta muskurane ki…!!

Yahi andaj hai mera samandar fatah karne ka,
meri kagaj ki kashti me kai jugnu bhi hote hai…!!

Daulat ke tarazoo me tolon to fakir hai hum,
dariyadili me hum jaisa nawab koi nahi…!!

Upar wala bhi aashiq hai sala apna,
kisi aur ka hone nhi deta mujhe…!!

Hath me khanjar hi nahi aankhon me pani bhi chahiye,
aee khuda mujhe dushman bhi khandani chahiye…!!

Karega jamana bhi humari kadar ek din,
dekh lena..bas jara wafa ki buri aadat chut jane do…!!

Isi bat se laga lena meri shoharat ka andaja,
wo mujhe salam karte hai jinhe tu salam karti hai…!!

Meri chahton ki khta thi jo tujhe pyar ke kabil samjha maine,
varna is gulisthan me kami na thi fulon aur baharon ki…!!

Mere lafjhon se na kar mere kirdar ka faisla,
tera wajud mit jaega meri hakiqat dundte dundte…!!

Khatm ho bhi to kaise, ye manjilo ki aarjoo,
ye raste hai ke rukte nahi, aur ek hum hai ke jhukte nahi…!!

Me tab bhi akela nahi tha,
nahi aaj bhi hu, tab yaro ka kafila tha,
aaj yaadon ka karwan hai…!!

Me apni mauj me duba hua janjira hun,
utar gya hai samandar buland pa ke mujhme…!!

Ae khuda rakhna mere dushmano ko bhi mehfuj,
varna meri tere paas aane ki dua kaun karega…!!

Jo pine-pilane ki bat karte hai,
kah do unse kabhi hum bhi piya karte the,
jitne me yah log behak jate hai,
utni to hum glass me hi chod diya karte the…!!

Na kaha karo har bar ki hum chod denge tumko,
na hum itne aam hai, na yeh tere bas ki bat hai…!!

Sabke karje chuka du marne se pehle aesi meri niyat hai,
maut se pehle tu bhi bata de jindagi teri kya kimat hai…!!

Hire ki kabiliyat rakhte ho to,
andhere me chamka karo,
roshni me to kanch bhi chamka karte hai…!!

Ek ajeeb sawal kiya usne mujh se..
Mujh pe marte ho to jinda kyu ho…!!

Jindagi ki har ek udaan baki hai.
har mod par ek imtihan baki hai,
abhi to sirf aap hi pareshan hai mujhse,
abhi to pura hindusthan baki hai…!!

Me tod leta agar tu gulab hoti,
me jawab banta agar tu sawal hoti,
sab jante hai me nasha nahi karta,
magar me bhi pi leta agar tu sharab hoti…!!

Jit to sakte the hum bhi ishq ki baji,
par tumhe jitne ke liye hum harte chale gaye…!!

Aehsan nahi hai jindagi tera mujh par,
maine har saans ki yahan kimat di hai…!!

Nafrat hai to kya hua yaaron,
kuch to hai jo wo sirf humse karte hai…!!

Na aana lekar use mere janaje me,
meri mohhabat ki tauhin hogi,
me char logo ke kandhe par hunga,
aur meri jaan paidal hogi…!!

Khushbu bankar gulon se uda karte hai,
dhuaan bankar parvaton se uda karte hai,
ye kainchiyan khak hume udne se rokegi,
hum paro se nahi hauslon se uda karte hai…!!

Badshah to me kahi ka bhi ban sakt hu,
par tere dil ki nagari me hukumat karne ka maja hi kuch alag hai…!!

Jab se pata chala hai,
ki marne ka naam hai jindagi,
tab se, kafan bandhe katil ko dundte hai…!!

Agar hai dum to chal duba de mujko,
samandar nakam raha, ab teri aankhon ki bari…!!

Jis din apna ekka chalega na us din badshah to kya,
uska baap bhi apna gulam hoga…!!

Patthar samjh ke hume mat thukrao,
kal hum mandir me bhi ho sakte hai…!!

Meri himmat ko parkhne ki gustakhi na ho,
pahle bhi kahi tufano ka rukh mod chuka hu…!!

Mujhe dafnane se pahle mera dil nikal kar use de dena,
me nahi chahta ke wo khelna chod de…!!

Amir hota to bazar se khrid lata nakli,
garib hu isliye dil asali de rha hu…!!

Wo dil hi kya jo wafa na kare,
tujhe bhul kar jiye kabhi khuda na kare,
rahegi teri dosti meri jindagi ban kar,
wo bat aur hai, agar jindagi wafa na kare.
Himmat itni to nahi mujhme ke tujhe duniya se chin lu,
lekin mere dil se koi tujhe nikale,
itna haq to mene khud ko bhi nahi diya…!!

Badlon se keh do ab itna bhi na barse,
agar mujhe unki yaad aa gayi,
to mukabla barabari ka hoga…!!

Jindagi se koi chiz udhar nahi mangi maine,
kafan bhi lene gaye to jindagi apni dekar…!!

Pana hai jo mukam wo abhi baki hai,
abhi to aae hai jamin par,
aasman ki udan abhi baki hai,
abhi to suna hai logo ne sirf mera naam,
abhi is naam ki pehchan banana baki hai…!!

Kisi ne galib se kaha- suna hai jo sharab pite hai unki dua kabul nahi hoti,
galib bole- jinhe sharab mil jae unhe kisi dua ki jarurat nahi hoti…!!

Hum wo hai jo har kar bhi yah kahte hai,
wo manjil hi badnasib thi, jo hume na pa saki,
varna jit ki kya aoukat, jo hume thukra de…!!

Halat ne tod diya hume kacche dhaage ki tarah,
varna hamare waade bhi kabhi janjir hua karte the…!!

Aawargi chod di humne to log bhulne lage hai,
varna soharat kadam chumti thi jab hum badnam hua karte the…!!

Jal jate hai mere andaj se mere dushman kyuki
ek muddat se mene na mohhabat badli aur na dost badle…!!

Bikne wale aur bhi hai, jao ja kar kharid lo,
hum kimat se nahi kismat se mila karte hai…!!

Mujhe ek ne pucha – kaha rahte ho,
mene kaha- aoukat me,
saale ne fir pucha- kab tak,
mene kaha- samne wala rahe tab tak…!!

Koi wada nahi fir bhi pyar hai,
judai ke bavjud bhi tujhpe adhikar hai,
tere chehre ki udasi de rahi hai gawahi,
mujhse milne ko tu bhi bekrar hai…!!

Hum waqt aur halat ke sath shok badalte hai,
dost nahi…!!

Unse keh do apni khas hifajat kiya kare,
beshak saanse unki hai, par jaan to meri hai…!!

Humare ishq ka andaj kuch ajeeb sa tha, dosto
log insan dekhkar mohhabat karte hai,
humne mohhabat karke insaan dekh liya…!!

Meri aankhon ke jaadu se abhi tum nawakif ho,
hum use jina sikha dete hai jise marne ka shok ho…!!

Ek chupi hue pehchan rakhta hu,
bahar shant hu, andar tufaan rakhta hu…!!

Dadagiri to hum marne ke bad bhi karenge,
log paidal chalenge aur hum kandhon par…!!

Jindagi baithi thi apne husan pe fuli hue,
maut ne aate hi sara rang fika kar diya…!!

Mekhane me aaunga magar, Piunga nahi saki,
ye sharab mera gam mitane ki aoukat nahi rakhti…!!

Jaisa bhi hu accha ya bura apne liye hu,
me khud koi nahi dekhta auron ki najar se…!!

Matlabi ladki se acchi to meri sigrate hai yaaron,
jo mere hot se apni jindagi suru karti hai aur,
mere kadmo ke niche apna dum tod deti hai…!!

Chod di humne hamesha ke liye uski aarjoo karna,
jise mohhabat ki kadr na ho use duaon me kya mangna…!!

Waqt rehte sambhal lo mujhe kahin tum mujhe kho do,
aur tumhe khabar bhi na ho…!!

Lajimi hai uska khud pe gurur karna,
hum jise chahe wo mamuli ho bhi nahi sakti…!!

Meri umar itni to nahi fir bhi,
na jane kyon,
bade bade aashiq mujhe salam karte hai…!!

Hum aaj bhi apne hunar me dum rakhte hai,
fat jati hai logo ki jab hum kadam rakhte hai…!!

Thahar sake jo, labon pe humare,
hansi ke siva, hai majal kisiki…!!

Mana ke teri najar ke kabil nahi hu me,
kabhi un se bhi punch, jinhe hasil nahi hu me…!!

Jindagi tujhse har kadam par samjhota karu,
shok jine ka hai magar itna bhi nahi…!!

Me jhukta hu hamesha aanshma ban ke,
janta hu ki jamin ko uthne ki aadat nahi…!!

Hathiyar to sirf shok ke liye rakha karte hai,
varna kisi ke man me khof peda karne ke liye to bas nam hi kafi hai…!!

Tarakki ki fasal, hum bhi kat lete,
thode se talve, agar hum bhi chaat lete…!!

Log punchte hai ki tum kyu apni mohhabat ka ijahar nahi karte,
humne kaha jo labjon me baya ho jaye sirf utna hum kisi se pyar nahi karte…!!

Udhar ke ujale se chamkane wale chand ki aankhon me chubhta hu,
jugnu hu thoda lekin khud ka ujaala leke gumta hu…!!

Tujhe to mohhabat bhi teri aukat se jayada ki thi,
ab to bat nafrat ki hai, soch tera kya hoga…!!

Mere baare me koi ray mat banana galib,
mera waqt bhi badlega, teri ray bhi…!!

Badsha Nahi Bajigar Se Pahchante Hain Log,
Kyonki Ham Raniyo Ke Samne Jhuka Nahi Karte..!!

Sher Khud Apni Takat Se Raja Kahlata Hai,
Jangal Me Chunav Nahi Hote..!!

Mujhe Nahi Pata Ki Ye Bigad Gaya Ya Sudhar Gaya..
Ab Bas Ye Dil Kisi Se Mohabbat Nahi Karta…!!

Dikhane Ke Liye To Ham Bhi Bana Sakte He Taajmahal,
Magar Mumtaz Ko Marde De Ham Wo Shaajahn Nahi…!!

Gam Kabhi Jata Nahi Aur Jaega Bhi Nahi,
Bas Thode Samay Ke Liye Chup Jata Hain,
Ye Patang Bhi Bilkul Tumhari Tarah Nikli,
Jara Si Hawa Lag Gai.. Hawa Me Udne Lagi..!!

Khun Abhi Wo Hi Hain Na Hi Shok Badle Na Hi Junoon,
Soon Lo Fir Se, Riyasate Gai Hain Rutba Nahi,
Roub Aur Shok Aaj Bhi Wahi Hain..!!

Jindagi Ke Safar Se Itna Hi Sabak Sikha Hain,
Sahara Koi Koi Hi Deta Hain,
Dhakka Dene Ko Har Shakhs Teyar Betha Hain..!!

Kar Diya Hai Befikar Tune Fikar Ab Main Kya Karu,
Fikar To Ye Hain Ki Tera Shukar Kaise Karu..!!

Bahut Likhi Khuda Ne Logo Ki Taqdeer Me Mohabbat,
Jab Hamari Bari Aai To Shyahi Khatm Ho Gai..!!

Raaz To Hamara Har Jagah Pe Hai,
Pasand Karne Walo Ke “Dil” Me, Aur
Na Pasand Karne Walo Ke “Dimag” Me…!!

Riyasate To Aati Jaati Rahti Hain,
Magar Baadshahi Karna,
To Aaj Bhi Log Hamse Sikhne Hain..!!

Khel Taash Ka Ho Ya Jindagi Ka,
Apna Ikka Tab Hi Dikhana Jab Samne Badhshah Ho..!!

Tum Gardan Jukane Ki Baat Karte Ho,
Ham Wo Hain Jo Aankh Uthane Walo,
Ki Gardan Parsaad Me Baat Dete Hai..!!

Khel Taash Ka Ho Ya Jindagi Ka,
Apna Ikka Tab Hi Dikhana Jab Samne Badhshah Ho..!!

Tum Gardan Jukane Ki Baat Karte Ho,
Ham Wo Hain Jo Aankh Uthane Walo,
Ki Gardan Parsaad Me Baat Dete Hai..!!

Usne Kaha Mat Dekh Mere Sapne,
Muje Pane Ki Teri Oukat Nahi,
Maine Bhi Has Kar Kaha:
Pagli Aana Ho To Aja Mere Sapne Me
Hakikat Me Aane Ki Teri Oukat Nahi..!!

Jo Sudhre Wo Ham Nhai Aur Hame,
Sudhare Itna Logo Ki Bato Me Dam Nahi…!!

Bade Shouk Se Utre The Ham Samandar Me,
Ishk Ke Ek Lahar Ne Esa Dabaya Ke,
Ab Tak Kinara Na Mila…!!

Hamare Ek Ishare Pe,
Hawae Bhi Apna Rukh Badal Deti Hain,
Mere Tinke Bikhre Jo,
Jahan Me Kiski Hasti Hain…!!

Jamana Kuch Bhi Kahe Uska Ehteram Na Kar,
Jise Jamir Na Mane Use Salam Na Kar…!!

Tute Hue Sapno Aur Chute Hue Apno Ne Mar Diya,
Varna Khusi Khud Hamse Muskurana Sikhne Aya Karti Thi…!!

Unko Dar Hain Ki Ham Un Ke Liye Jaan Nahi De Sakte,
Aur Mujhe Khouf Hain Ki Wo Royenge Bahut Mujhe Aajmane Ke Bad…!!

Agar Parchai Kad Se Aur Baate Oukat Se Badi Hone Lage,
To Samajh Lo Ki Suraj Dubne Hi Wala Hain…!!

Dur Ja Rahe Ho To Souk Se Jana,
Bas Itna Yaad Rakhna,
Piche Mudne Ke Dekhne Ki Aadat Idhar Bhi Nahi Hain…!!

Apun Ki Jindagi Taash Ke Ikke Ki Tarah Hain,
Jiske Bager Rani Aur Badshah Bhi Adhure Hain…!!

Jise Aaj Mujme Hajar Ayeb Najar Aate Hain,
Kabhi Vahi Log Hamari Galti Pe Bhi Taali Bajate The…!!

Wo Jis Gali Ki Rani Hone Ka Gurur Karti Hain,
Naadan Hain,
Itna Bhi Nahi Janti,
Us Shahar Ke To Ham Badshah The,
Fark Sirf Itana Tha Ki,
Hamne Logo Ke Dilo Pe Raaj Kiya…!!

Na Puch Mere Sabra Ki Intaha Kaha Tak Hain,
Tu Sitam Kar Le Teri Takat Jahaa Tak Hain…!!

Hajaro Chehro Me Unski Jhalak Mili Mujhko,
Par Dil Bhi Jid Pe Ada Tha Ki,
Agar Wo Nahi, To Uske Jaise Bhi Nahi…!!

Haq Se Do To Teri Nafrat Bhi Kubul Hain Hame,
Khairat Me To Ham Tumhari Mohabbat Bhi Na Le…!!

Aahir Hath Kisi Ka Thamkar Chhodte Nahi,
Vada Agar Kisi Se Kare To Todne Nahi,
Agar Tod De Dil Koi Aahir Ka,
To Bina Hath Pair Tode Chhodte Nahi…!!

Log Kahte Hain,
Tujhe Teri “Aahir Giri” Ek Din Marwayegi,
Mene Pyar Se Kaha Kya Karu ?
Sabko Aati Nahi Aur Meri Jati Nahi…!!

Beshak Taj Ke Patte Me Laakho Gaava Giye,
Par Rutba Aaj Bhi Itna Hai Ki,
Begam Aaj Bhi Hamare Ishare Pe Chaal Chalti Hain…!!

Ham Wafa Ki Duniya Ke Badshah Hain, Aur,
Hamari Riyasate Me Bewafa Ko Mujra,
Karne Ki Bhi Ijajat Nahi Milti,
Fir Chahe Wo Rani Ho Ya Rajkumari…!!

Sikandar To Ham Apni Marji Se Hain,
Par Ham Duniya Nahi Dil Jitne Aaye Hain…!!

Jamane Tere Samne Meri Koi Hasti Nahi,
Lekin, Koi Kharid Le Itni Bhi Ye Sasti Nahi…!!

Nilaam Kuch Is Kadar Huye,
Bajar-Aye-Vafa Me Ham Aaj,
Boli Lagane Wale Bhi Wo Hi The,
Jo Kabhi Jholi Fela Kar Manga Karte The…!!

Tere Didar Ki Talash Me Aate Hain Teri Galiyon Me,
Varna Avaragi Ke Liye Pura Shahar Pada Hain…!!

Mil Sake Asani Se,
Uski Khvaish Kise Hain?
Jidhh To Uski Hain,
Jo Mukadhhar Me Likha Hi Nahi Hain…!!

Ajad Kar Dunga Tumko Apni Mohabbat Ki Kaid Se,
Kare Jo Hamse Behtar Tumhari…!!

Nahi Milega Tujhe Koi Ham Sa,
Ja Ijajat Hain Jamana Aajma Le …!!

Nahi Milega Tujhe Koi Ham Sa,
Ja Ijajat Hain Jamana Aajma Le …!!

Apni Marji Se To Mujhe Khaak Bhi Manjur Hain,
Teri Sharto Par To Taaj Bhi Manjur Nahi…!!

Duao Ko Bhi Ajib Ishk Hain Mujhse,
Vo Kabul Tak Nahi Hoti Mujhse Juda Hone Ke Dar Se…!!

Sangharsho Me Yadi Kat Ta Hain To Kat Jaye Sara Jivan,
Kadam-Kadam Par Samjhouta Mere Bas Ki Bat Nahi…!!

Baat Mukkadar Pe Aa Ke Ruki Hain Warna,
Koi Kasar To Na Chodi Thi Tujhe Chahne Me…!!

Tamanna Tere Jism Ki Hoti,
To Chin Lete Duniya Se,
Ishk Teri Ruh Se Hain Isliye,
Khuda Se Mangte Hain Tujhe…!!

Ham Us Uchai Par Hai,
Jaha Tumhare Sar Se Jyada Uchai Par
Hamare Paanv Rahte Hai..!!

Jit Hasil Karni Ho To Kabiliyat Badhao,
Kismat Ki Roti To Kutte Ko Bhi Nasib Hoti Hain..!!

Mujhme Khamiya Bahut Si Hogi Magar,
Ek Khubi Bhi Hain,
Main Kisi Se Rishta Matlab Ke Liye Nahi Rakhta..!!

Janab Mat Puchiye Had Hamari Gustakhiyo Ki,
Ham Aaina Jamin Par Rakh Kar Aasman Kuchal Diya Karte Hain..!!

Meri Fitrat Me Nahi Apna Gam Bayan Karna,
Agar Tere Wajud Ka Hissa Hoon, To Mahsus Kar Taklif Meri..!!

Shayari Ka Badshah Hoon Aur Kalam Meri Raani,
Alfaaj Mere Gulam Hain, Baaki Rab Ki Meharbani Hain..!!

Hathiyar To Sirf Sokh Ke Liye Rakha Karte Hain,
Khof Ke Liye To Bas Name Hi Kaafi Hain..!!

Akal Kitni Bhi Tezz Ho,
Nasib Ke Bina Nahi Jit Sakti,
Birbal Kaafi Akalmand Hone Ke Baavjud,
Kabhi Baadshah Nahi Ban Saka..!!

Pasand Aya To Dil Me,
Nahi To Dimag Me Bhi Nahi..!!

Jindagi Me Badi Siddat Se Nibhao,
Apna Kirdar, Ki Parda Girne Ke Bad Bhi Taliya, Bajti Rahe..!!

Ham Aaj Bhi Shatranj Ka Khel,
Akele Hi Khelte Hai,
Kyonki Dosto Ke Khilaf Chal Chalna Hame Aata Nahi..!!

Wo Meri Kismat Meri Takdeer Ho Gai,
Hamne Unki Yaad Me Itne Khat Likhe Ki,
Vah Raddi Bechkar Hi Amir Ho Gai..!!

Mere Lafzo Se Na Kar Mere Kirdar Ka Fesla,
Tera Wajud Mit Jaega Meri Hakikat Dhundate-Dhundate…!!

Tu Mohabbat Hai Meri Isliye Dur Hain Mujhse,
Agar Zid Hoti To Sham Tak Baho Me Hoti…!!

Ji Bhar Gaya Hain To Bata Do,
Hame Inkar Pasand Hain Intajar Nahi…!!

Mujhko Padh Pana Har Kisi Ke Liye Mumkin Nahi,
Main Wo Kitab Hoon Jisme Shabdo Ki Jagah Zazbaat Likhe Hai..!!

Itna Bhi Gumaan Na Kar Apni Jit Par “Aye Bekhabar”,
Shahar Me Tere Jit Se Jyada Charche To Meri Haar Ke Hain…!!

Khun Abhi Wo Hi Hain,
Na Hi Shok Badle Na Hi Junoon,
Sun Lo Fir Se, Riyasate Gai Hai Rutba Nahi,
Rob Aur Khof Aaj Bhi Wahi Hain…!!

Tere Hi Naam Se Jana Jata Hai,
Na Jane Ye “Shohrat Hai Ya “Badnami”,
Bure Hai Ham Tabhi Jee Rahe Hai,
Achhe Hote To Duniya Jite Hi Nahi…!!

Tum Jindagi Me Aa To Gye Ho Magar Khyal Rakhna;
Ham “Jaan” De Dete Hai Magar “Jaane” Nahi Dete…!!

Is Baat Se Laga Lena Meri Shohrat Ka Andaj,
Wo Mujhe Salam Karte Hain, Jinhe Tu Salam Karta Hain…!!

Wo Manjil Hi Badnasib Thi Jo Hame Pa Na Saki,
Warna Jit Ki Kya Oukat Jo Hame Thukra De…!!

Kisi Ki Kya Majal Jo Hame Kharid Sakta Hamko,
Wo To Ham Hi Bik Gye Khriddar Dekh Kar…!!

Jaha Se Teri Baadhshahi Khatm Hoti Hain,
Waha Se Meri Navabi Suru Hoti Hain…!!

Peda To Me Bhi Sarif Hua Tha,
Par Sharafat Se Apni Kabhi Nahi Bani…!!

Banda Khud Ki Najar Me Sahi Hona Chahiye,
Duniya To Bhagwan Se Bhi Dukhi Hain…!!

Mere Bare Me Itna Mat Sochna,
Dil Me Ata Hoon, Smajh Me Nahi…!!

Wo Khud Par Garur Karte Hain,
To Isme Hairan Ki Koi Bat Nahi,
Jinhe Ham Chahte Hain,
Wo Aam Ho Hi Nahi Sakte…!!

Wo Taras Jaegi Pyar Ki Ek Bund Ke Liye,
Main To Baadal Hoon Kisi Aur Pe Baras Jauga…!!

Meri Himmat Ko Parakhne Ki Gustakhi Na Kar,
Pahle Bhi Kai Tufaano Ka Rookh Mod Chuka Hoon…!!

Auro Ki Jamin Sirf Jamin Hain Aur,
Hamari Jamin Ek Gardish…!!

Hamare Ke Ishare Pe,
Hawae Bhi Apna Rookh Badal Deti Hain,
Mere Tinke Bikhere Jo,
Jahan Me Kiski Hasti Hain…!!

Halat Ne Tod Diya Hame Kachhe Dhage Ki Tarah,
Vanra Hamare Vade Bhi Kabhi Janjir Hua Karte The…!!

Kabhi Fulo Ki Tarah Mat Jina,
Jis Din Khiloge, Tut Kar Bikhar Jaoge,
Jina Hain To Patthar Ki Tarah Jio,
Jis Din Tarashe Gye, “Khuda” Ban Jaoge…!!

“Jamane Ne Aahir Ke Asul To Badal Diye”,
Par “Khun Aur Dadagiri Aaj Bhi Wo Hi Hain”…!!

Tum Khush-Kishmat Ho Jo Ham Tumko Chahte Hain,
Varna, Ham To Wo Hain Jinko Khvabo Me Bhi Log Ijajat Lekar Aate Hain…!!

Duniyadari Ki Chadar Odhi Hain,
Par Jis Din Dimag Satka Na,
Itihaas To Itihaas, Bhugol Bhi Badal Dege…!!

Mahsus Jab Hua Ki Sara Shahar,
Mujhse Jalne Laga Hain,
Tab Smajh Aa Gaya Ki Apna Naam Bhi,
Chalne Laga Hain…!!

Shouk Se Badal Jao Tum Magar,
Ye Jahan Main Rakhna, Ki,
Ham Jo Badal Gye To Tum Karwate,
Badalte Rah Jaoge…!!

Sirf Tere Ishk Ki Gulami Me Hu Aaj Bhi,
Warna Ye Dil Ek Arse Tak Navab Raha Hain…!!

Tu Muhabbat Se Koi Chal To Chal,
Haar Jane Ka Housla Hain Mujh Me…!!

Hamari Shaksiyat Ka Andaj,
Tum Kya Lagaoge Galib,
Ke Ham To Kabragaho Se Bhi Gujrate Hain,
To Murde Uth Kar Kahte Hain, “Bhai Salam”…!!

Sidhiya Unhe Mubarak Ho,
Jinhe Chat Tak Jana Hain,
Meri Manjil To Asman Hain,
Rasta Mujhe Khud Banana Hain…!!

Laharo Ko Shant Dekh Kar Ye Na Samajhna Ki,
Samandar Me Ravani Nahi Hain,
Jab Bhi Unthenge Tufan Ban Ke Unthege,
Abhi Unthne Ki Thani Nahi Hai…!!

Hamari Takat Ka Andaja Amare Jor Se,
Nahi…Dushman Ke Shor Se Pata Chalta Hai…!!

Meri Takdeer Ko Badal Denge Meri Buland Erade,
Meri Kismat Nahi Mohtaj Meri Hatho Ki Lakiro Ki…!!

Ab Saja De Hi Chuke Ho To Mera Hal Na Puchna,
Agar Main Begunah Nikla To Tumhe Afsos Bahut Hoga…!!

Ham Bhi Dariya Hain,
Hame Apna Hunar Malum Hain,
Jis Taraf Bhi Chal Padende,
Rasta Ho Jaega…!!

Us Din Bhi Kaha Tha,
Aur Aak Fir Sun Le,
Sirf Umar Bhi Choti Hain,
Lekin Salam To, Saari Duniya Thokti Hain…!!

Aksar Wahi Log Uthate Hain Suraj Par,
Ungaliya, Ek Junoon Tak Ko Chune Ki Jin Ki Auoukat, Nahi Hoti…!!

Main Tere Nasib Ki Barish Nahi Jo Tuj Pe Baras Jau,
Tujhe Takdeer Badal Ni Hogi Mujhe Paane Ke Liye…!!

Meri shohrat ka andaja,
isi bat se laga lena,
jinhe tum salam karte ho,
wo mujhe salam kara hain…!!

Har kisi ko main khush rak saku,
wo salika mujhe nahi ata,
jo main nahi hoon, wo dikhne ka,
tarika mujhe nahi ata…!!

Wo log bhi chalte hain ajkal tevar badalkar,
jinhe hamne hi sikhaya tha chalna sambhal kar…!!

Meri aakho ke jadu se abhi tum kaha wakif ho,
ham use bhi jina sikha dete hain jise marne ka souk ho…!!

Us din bhi kaha tha aur aaj fir kahte hain…sirf umar hi choti hain,
lekin jajba to duniya ko mutthi me karne ka rakhte hain…!!

Taaj ki fikar to badhshah ko hoti hain,
ham to aahir hai,
aahir apmni riyasat khud lekar chalte hain…!!

Aahmano se kah do ki hamari udan dekhni hain,
to apna kad aur uncha kar le,
husn wale se kah do ki agar ishk,
dekhna ho to hamse aake mile…!!

Har kisi ke hath me bik jane ko taiyar nahi hain ye,
mera dil hian, tere shahar ka akhbar nahi…!!

Tujhe to hamari mohabbat ne mashhur kar,
diya bewafa,
varna tu surkhiyo me rahe. teri itni oukat nahi…!!

Hume pasand nahi jang me bhi chalaki, yaro,
jise nishane pe rakhte hain, bata ke rakhte hain…!!

Mahange Kapde Aapke Badan Ko To Dhak Sakte Hai,
Laekin Aapki Sasti Soch Chhipa Nahi Sakte…!!

Saajishe Laakho Banti Hai Meri Hasti Ko Mitaane Ki,
Bas Duaae Meri Maa Ki Unhe Mukammal Hone Nahi Deti…!!

Aa Gaya Hu Teri Mehfil Mein Is Khayal Se,
Kahi Pachhta Na Rahe Ho Mehfil Se Nikal Ke…!!

Mujhe Unchaaiyo Par Dekh Kar Hairaan Hai Bahot Log,
Par Kisi Ne Mere Pero Ke Chhale Nahi Dekhe…!!

Aag Lagana Meri Fitrat Mein Nahi,
Meri Saadgi Se Log Jale To Mera Kya Kusoor…!!

No comments:

Post a Comment

Disqus Shortname